youtube par video upload kaise karte he

यु ट्यूब पर विडियो कैसे अपलोड करते हे कंप्यूटर और मोबाइल से 

How to upload video in youtube in hindi

YouTube kya he

You tube Google ki hi ek service he yah bahut bada video ka platform he jis par kai video he or hum inko online dekh sakte he or is par video upload bhi kar sakte he

Pc se YouTube par videos upload kaise kare

Step1. Sabse pahle aapke paas Gmail id honi chahiye, apne computer me browser me youtube.com open kijiye

Ab apni Gmail id se log in kijiye  iske bad apke saamne upload ka ek option hota he us par click karna he 

Step2. Ab ek new page open hoga jisme select files to upload ke option par click kar apna video apne computer se select kar upload kar lijiye

Aap mouse se video ko dreg karke bhi upload kar sakte he
Jab tak aapka video upload nahi ho jata aapko ye page close nahi karna he

Mobile se YouTube par video upload kaise karte he

Apne android mobile se YouTube par video dalne ke liye bhi aapke paas Gmail id honi chahiye , niche di gai steps ko follow karke aap upload kar sakte he

Step1. Android mobile me youtube name se ek aap pahle se hi mobile me instaal rahti he agar yah nahi ho to aap play store me youtube name likh kar search kar fir usko download kar instaal kijiye

Ab us aap ko open kar gmail id se sin in karna he fir upper ki tarf 3 bindu ki ek choti se line dikhegi us par click karna he ab aap seting par click karna he ab niche photo me dikhaye anusar general par click kar uploads par click karna he

Step2. Jab aap upload par click karte ho to aapke samne ek option
Jisme wifi or mobile data ka option aata he yadi aap wifi se connect ho to wifi ke option par click karna he yadi mobile data ho to network par click karna he

Step3. Ab aap jis video ko upload karna chahte ho usko apne mobile se select kar le, yadi aap chahe to apne video ko chota bhi kar sakte he

Step4. Ab aapke video se sambandhit jankari dalni he
1.      Isme aapko apne video ka name dalna he
2.      Apke video me kya kya he uski details apko isme deni he

3.      Yadi aap chahte ho ki apka video koi dusra nahi dekh sake to usko private rakh sakte he, or yadi isko publish karna ho to aap jo chahe select kar sakte ho
4.      Is option me video ke tag dalne he jaise funny, aap ek se adhik tag bhi dal sakte ho lekin tag ke bich me comma(,) jarur dale   

5.      Last me next par click karne se pahle jaankari check kar leve or fir next par click kar de

Ab apka video youtube par upload hona start ho jayega jiski details bhi aap dekh sakte ho


To dosto aapne youtube par video upload mobile or pc dono se sikh liya he fir bhi agar aapko koi problem aa rahi ho to aap comment kar ke puch sakte ho 
Previous
Next Post »

कंप्यूटर से सम्बंधित किसी भी प्रकार की जानकारी के लिए आप निचे कमेंट बॉक्स में कमेंट कर पूछ सकते हें
या 7427050535 पर whatsaap पर अपना सवाल पूछ सकते हें ConversionConversion EmoticonEmoticon