Data
recovery software
Computer ke
fayde me ek fayda yah he ki hum isme bahut saara data store kar ke rakh sakte
he or yah data hard disk me save rahta he,
Lekin
kabhi-kabhi hamari galti ya virus ya kisi other problem ke kaaran data delete
ya lost ho jata he or hume bahut problem hoti he ki humne itni mehnat se isme
data save kiya or vo delete ho gaya
Aaj ki is
post me hum aapko kuch data recovery software ke bare me batayenge jinka upyog
kar aap delete ki hui files ya data ko wapas paa sakte he, in software ka use
karna bhi bahut aasan he
Jab bhi hum
computer se kuch delete karte he to vo recycle bin me move ho jaati he or
recycle bin se delete karne ke bad hum un files ko wapas nahi la sakte he lekin
vo delete ki hui files ki ek image hard disk par ban jati he or fir hum data
recovery software ke istemal se wapas la sakte he
How to
recover data in computer
Recuva – is
software se pc ki hard disk se delete ki hui files jisme document, video,
music, photos etc. ko kuch steps ko follow karne par wapas laya ja sakta he
Steps 1.
Sabse pahle apne pc/laptop me recuva software ko install kijiye ab usko open
kijiye
Iske bad
kuch option aayenge jisme aapko kya recove karna he un par tik kijiye or next
kijiye ap aapse us file ka path pucha
jayega yadi aapko nahi pata to I’not
sure par click kijiye
Step2. Iske
baf next kijiye ab deep scan par click
krna he or start kijiye
Ab aapke
data/files ko recover kiya jaa raha he isme data ke hisaab se time lagta he
agar adhik data hoga to adhik time lagega
Is prakar se
hum delete kiya hua data wapas recover kar sakte he
1 comments:
Click here for commentspc me delete ki hui file wapas kaise late he
कंप्यूटर से सम्बंधित किसी भी प्रकार की जानकारी के लिए आप निचे कमेंट बॉक्स में कमेंट कर पूछ सकते हें
या 7427050535 पर whatsaap पर अपना सवाल पूछ सकते हें ConversionConversion EmoticonEmoticon