यु ट्यूब पर विडियो कैसे अपलोड करते हे कंप्यूटर और मोबाइल से
How to upload video in youtube in hindi
YouTube kya he
You tube Google ki hi ek service he yah bahut bada video ka platform he jis
par kai video he or hum inko online dekh sakte he or is par video upload bhi kar
sakte he
Pc se YouTube par videos upload kaise kare
Step1. Sabse pahle aapke paas Gmail id honi chahiye, apne computer me browser me
youtube.com open kijiye
Ab apni Gmail id se log in kijiye
iske bad apke saamne upload ka ek option hota he us par click karna
he
Step2. Ab ek new page open hoga jisme select files to upload ke option par click
kar apna video apne computer se select kar upload kar lijiye
Aap mouse se video ko dreg karke bhi upload kar sakte he
Jab tak aapka video upload nahi ho jata aapko ye page close nahi karna he
Mobile se YouTube par video upload kaise karte he
Apne android mobile se YouTube par video dalne ke liye bhi aapke paas Gmail
id honi chahiye , niche di gai steps ko follow karke aap upload kar sakte he
Step1. Android mobile me youtube name se ek aap pahle se hi mobile me instaal
rahti he agar yah nahi ho to aap play store me youtube name likh kar search kar
fir usko download kar instaal kijiye
Ab us aap ko open kar gmail id se sin in karna he fir upper ki tarf 3 bindu
ki ek choti se line dikhegi us par click karna he ab aap seting par click karna
he ab niche photo me dikhaye anusar general par click kar uploads par click
karna he
Step2. Jab aap upload par click karte ho to aapke samne ek option
Jisme wifi or mobile data ka option aata he yadi aap wifi se connect ho to
wifi ke option par click karna he yadi mobile data ho to network par click
karna he
Step3. Ab aap jis video ko upload karna chahte ho usko apne mobile se select kar le,
yadi aap chahe to apne video ko chota bhi kar sakte he
Step4. Ab aapke video se sambandhit jankari dalni he
1.
Isme aapko apne video ka name dalna he
2.
Apke video me kya kya he uski details apko isme deni he
3.
Yadi aap chahte ho ki apka video koi dusra nahi dekh sake
to usko private rakh sakte he, or yadi isko publish karna ho to aap jo chahe
select kar sakte ho
4.
Is option me video ke tag dalne he jaise funny, aap ek se
adhik tag bhi dal sakte ho lekin tag ke bich me comma(,) jarur dale
5.
Last me next par click karne se pahle jaankari check kar
leve or fir next par click kar de
Ab apka video youtube par upload hona start ho
jayega jiski details bhi aap dekh sakte ho
To dosto aapne youtube par video upload mobile or pc
dono se sikh liya he fir bhi agar aapko koi problem aa rahi ho to aap comment
kar ke puch sakte ho
कंप्यूटर से सम्बंधित किसी भी प्रकार की जानकारी के लिए आप निचे कमेंट बॉक्स में कमेंट कर पूछ सकते हें
या 7427050535 पर whatsaap पर अपना सवाल पूछ सकते हें ConversionConversion EmoticonEmoticon