हार्ड डिस्क के पार्टीशन कैसे करते हे जानिए हिंदी में
Computer me hard disk partition ka kya matlab hota he
Computer or laptop me data store karne ke liye ek memory (hard disk) hoti
he jisme bahut adhik deta save kar rakh sakte he, lekin bahut adhik deta jisme
song, video, file or bhi bahut kuch hota he in sabko hard disk me save karne se
hame in ko wapas dhundhne me jyada time lagta he isliye hum is hard disk ke
partition bana kar alag-alag part kar sakte he
jaie c, d, e, f, etc.
C part me hum operting system or dusre software rakhte he or baki dusre
partition me dusri file save kar rakh te he
Hard disk ke partition se kya labh hota he
Alag-alag part me deta ko save karne se hame kisi bhi file ko search karne
me aasani rahti he or isse koi bhi file jaldi mil jati he
Agar opreting system me kabhi koi error ya koi mistake aati he to hame
system ko format karne me aasani rahte he
Pc me hard disk ke partition kaise banate he
Aap niche di gai kuch steps ko follow kar aasani e partition bana sakte ho
Step 1. Sabse pahle pc/laptop ko on kijiye or
ab start buton par mouse se click kar computer management type kijiye ab aapke samne jo option computer
management ka aata he usko open kijiye
Ab niche scren shot me dikhaye anusaar left side me Disk mangement par
click kijiye
Ab niche scren shot me dikhaye anusaar left side me Disk mangement par
click kijiye
Step 2. Ab apke samne ek new window khulegi or
isme aapke computer ke sabhi partition show honge ab jis bhi partition me se
new partition banana he us par mouse se right click karna he or jo option
ayenge usme se shrink volume par click karna he
step 3.
Niche photo me dikhye anusar apko new partition ki size dalni he ye size
MB me hoti he (1024 MB= 1GB)
Size dalne ke bad shrink par click karna he
Last step 4. Ab niche ek new patition dikhega us ke
upar mouse e right click karna he or new sample volume par click karna he ab
aapke samne ek new window open hogi jisme next- next kar finish karna he
Is prakar se aapne aasani se hard disk ke partition bana liye he
Computer me hard disk ke partition delete kaise karte he
kabhi-kabhi hum adhik partition bana lete he or hum sochte he ki inme se
kuch delete kiye jaye to aap fir se computer management program ko open kijiye
or jis bhi part ko delete karna he uske upar mouse se right click kar delete
volume par click kar de isse aapka partition delete ho jayega, koi bhi part
delete karne par yadi hum chahe to kisi dusre part me uske size ko add kar
sakte he
yadi fir bhi aapse partition nahi ban rahe or koi problum aa rahi ho to
comment kar apni problum ka samadhan pa sakte he
कंप्यूटर से सम्बंधित किसी भी प्रकार की जानकारी के लिए आप निचे कमेंट बॉक्स में कमेंट कर पूछ सकते हें
या 7427050535 पर whatsaap पर अपना सवाल पूछ सकते हें ConversionConversion EmoticonEmoticon